Friday, December 3, 2010

Ek pagal pagal si ladki…

Ek pagal pagal si ladki…
dil toornay se darti thi…….
har pal har lamha khud se woh jhagarti thi…
ansoo kiun aye kisi ankh
main mujrim khud ko samujhti thi…

ghuut ghuut k jeeti rehti thi…
har sans ulajhti rehti thi…
soo baar kaha aaay nadan larki..!!!
dunya ko dekhna choor day…
khud se ulajhna choor day…
pal pal bikherna choor day..
yahan HAASSASS DIl to koi nahi….
yahan NAZUKi say kaam na lay…
yahan pather banna parta hai…
yahan rehumdilli say kaam na lay…
soo barr kaha par kaisay nasamjhi…. !!!
dunya ko sub samujhti thi…
phir wohi hoa jo hona tha…..
dil toota uska jiska ussay roona tha…
BHAROSAY ki deewar girri …
SARD LEHJI haar baar mili….
phir simat gaye apni zaat main…
tamaam dukhon ko samaitay anchal main…
ankhon main jazbaat nahi..
pahlay say halaaat nahi…
Farq srif itna hoa…
khud apni zaaat ko TOOR dia…
tanhayeyoun se rishta jorr dia..
phir tanha tanha rehni lagi…
phir khud ko PATHEr kahnay lagi…
WOH IK PAGAL PAGAL SI LARKI….
JO DIL TOORNAY SE DARTI THI ……!!!!!! !!!!

Khubsoorat hain woh lub

Khubsoorat hain woh lub
Jo pyari batein kartey hain
Khubsoorat hai woh muskurahat
Jo doosron ke chehron per bhi muskan saja de
Khubsoorat hai woh dil
Jo kisi ke dard ko samjhey
Jo kisi ke dard mein tadpey
Khubsoorat hain woh jazbat
Jo kisi ka ehsaas karein
Khubsoorat hai woh ehsaas
Jo kisi ke dard ke me dawa baney
Khubsoorat hain woh batein
Jo kisi ka dil na dukhaein
Khubsoorat hain woh ansoo
Jo kisi ke dard ko mehsoos kerke beh jae
Khubsoorat hain woh hath
Jo kisi ko mushkil waqat mein tham lein
Khubsoorat hain woh kadam
Jo kisi ki madad ke liye aagey badhein !!!!!
Khubsoorat hai woh soch
Jo kisi ke liye acha sochey
Khubsoorat hai woh insan
Jis ko khuda ne ye
Khubsoorati ada ki.
Or woh khusnaseeb hai,
Jinhe aap jaise khubsoorat DOST milein
jaise aap

हिचकियों

हिचकियों से एक बात का पता चलता है, कि कोई हमे याद तो करता है, बात न करे तो क्या हुआ,
कोई आज भी हम पर कुछ लम्हे बरबाद तो करता है
ज़िंदगी हमेशा पाने के लिए नही होती, हर बात समझाने के लिए नही होती, याद तो अक्सर आती है आप की,
लकिन हर याद जताने के लिए नही होती महफिल न सही तन्हाई तो मिलती है, मिलन न सही जुदाई तो मिलती है,
कौन कहता है मोहब्बत में कुछ नही मिलता, वफ़ा न सही बेवफाई तो मिलती है
कितनी जल्दी ये मुलाक़ात गुज़र जाती है
प्यास भुजती नही बरसात गुज़र जाती है
अपनी यादों से कह दो कि यहाँ न आया करे
नींद आती नही और रात गुज़र जाती है
उमर की राह मे रस्ते बदल जाते हैं,
वक्त की आंधी में इन्सान बदल जाते हैं,
सोचते हैं तुम्हें इतना याद न करें,



लेकिन आंखें बंद करते ही इरादे बदल जाते हैं कभी कभी दिल उदास होता है
हल्का हल्का सा आँखों को एहसास होता है छलकती है मेरी भी आँखों से नमी
जब तुम्हारे दूर होने का एहसास होता है